Zindagi Shayari is a beautiful song that talks about life. It uses simple words to express deep feelings and experiences we all go through. It talks about everything from the good times to the tough times, from winning to struggling, from being happy to feeling sad. It’s like a mirror reflecting the different parts of our lives in poetic verses.
Zindagi Shayari in English helps us understand life better using words and pictures. It shows us the hard parts of life, like the tough times and risks, and celebrates the good times, like happiness and love. People find inspiration and peace in the timeless lessons it teaches. This type of poetry makes us think about life’s ups and downs and all the feelings that come with it. Also Check Emotional Shayari in Urdu, English
Zindagi Shayari in English
Zindagi Shayari, or Life Poetry, is a beautiful way to talk about the highs and lows of life. It captures moments of happiness, sadness, hope, and struggle. People connect with Zindagi Shayari because it reflects their own experiences, offering comfort and inspiration. Whether you’re celebrating a success or dealing with a problem, Zindagi Shayari can help you express your feelings and share them with others.
- Dekha Hai Zindagi Ko Kuchh Itne Qareeb Se,
- Chehre Tamam Lagne Lage Hain Ajeeb Se.
- Kya Likhun Hakeekat-E-Dil Aarzoo Behos Hai,
- Khat Par Aansoo Bah Rahe Hain Kalam Khamosh Hai.
- Jo Padha Hai Use Jeena Hi Nahin Hai Mumkin,
- Zindagi Ko Main Kitabon Se Alag Rakhta Hoon.
- Kabhi Aankhon Pe Kabhi Sar Pe Bithaye Rakhna,
- Zindagi Nagavaar Sahi Dil Se Lagaye Rakhna.
- Bade Hi Ajeeb Hain Ye Zindagi Ke Raaste,
- Anjane Mod Par Kuchh Log Apne Ban Jate Hain,
- Milne Ki Khushi Dein Ya Na Dein,
- Magar Bichadne Ka Gam Zaroor De Jate Hain
- Jeene Ka Hausla Kabhi Marne Ki Aarzoo,
- Din Yoon Hi Dhoop-Chhaaon Mein Apne Bhi Kat Gaye.
- Zindagi Sirf Mohabbat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai,
- Zulf-o-Rukhsaar Ki Jannat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai,
- Bhookh Aur Pyaas Ki Maari Huyi Iss Duniya Mein,
- Ishq Hi Ek Hakiqat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai.
- Sar-e-Aam Mujhe Ye Shikayat Hai Zindagi Se,
- Kyun Milta Nahi Mijaaz Mera Kisi Se.
- Zindagi Uss Ajnabi Mod Par Le Aayi Hai,
- Tum Chup Ho Mujhse Aur Main Chup Hun Sabse.
- Kitna Mushkil Hai Zindagi Ka Yeh Safar,
- Khuda Ne Marna Haraam Kiya Logon Ne Jeena.
- Jugnuon Ki Roshni Se Teergi HatTi Nahi,Aayine Ki Saadgi Se Jhoothh Ki Patti Nahi,
- Zindagi Mein Gham Nahi Fir Ismein Kya Mazaa,
- Sirf Khushion Ke Sahare Zindagi KatTi Nai.
- Aaram Se Tanha Kat Rahi Thi To Achchhi Thi,
- Zindagi Tu Kahan Dil Ki Baaton Mein Aa Gayi.
- jo guzārī na jā sakī ham se
- ham ne vo zindagī guzārī hai
- hosh vāloñ ko ḳhabar kyā be-ḳhudī kyā chiiz hai
- ishq kiije phir samajhiye zindagī kyā chiiz hai
- zindagī tū ne mujhe qabr se kam dī hai zamīñ
- paañv phailā.ūñ to dīvār meñ sar lagtā hai
- zindagī kis tarah basar hogī
- dil nahīñ lag rahā mohabbat meñ
- zindagī zinda-dilī kā hai naam
- murda-dil ḳhaak jiyā karte haiñ
- sair kar duniyā kī ġhāfil zindagānī phir kahāñ
- zindagī gar kuchh rahī to ye javānī phir kahāñ
Zindagi Shayri in Urdu
This part is where you find poems about life written by new and famous poets in Urdu. They’re from Pakistan, India, and all over the world. You can enjoy many poems about life here, including Ghazals, Nazams, and other kinds of poetry.
Zindagi Shayari is the best way to express your words and emotions. Check out the amazing collection of expressing your feelings in words. This section is based on huge data of all the latest Zindagi Quotes in Urdu that can be dedicated to your family, friends, and loved ones. Convey the inner feelings of the heart with this world’s largest Zindagi Poetry in Urdu 2 lines compilation that allows an individual to show the sentiments through words.
Zindagi se darte ho? Zindagi tu tum bhi ho
Tum Zindagi se darte ho
Zindagi to tum bhi ho
Zindagi to hum bhi hain
Tum Aadmi se darte ho
Aadmi to tum bhi ho
Aadmi to hum bhi hain
Tum abhi se darte ho
Aadmi zabaan bhi hai
Aadmi bayaan bhi hai
Harf aur maani ke rishta
haaye aahan se
Aadmi hai waabasta
Aadmi ke daaman se
zindagi hai waabasta
Us se tum nahi darte ho
Ankahi se darte ho
Jo abhi nahi aayi
Us gharri ki aamad ki
Aagahi se darte ho
Tum abhi se darte ho
Pehle bhi to guzre hain
Daur na rassai ke
Be-riya khudaai ke
Phir bhi yeh samajhte ho
Hech aarzumandi
Yeh shab e zubaan bandi
Hai rah e khudaawandi
Tum yehi samajhte ho
Tum mager yeh kya jaano
Lab agar nahi hilte
Haath jaag uthte hain
Haath bol uthte hain
Subh ki azaan ban kar
TUM Roshni se darte ho
Roshni to tum bhi ho
Roshni to hum bhi hain
Tum abhi se darte ho
Raah- e- shauq mein jaise
rahru ka khoon lapke
Ek nayaa junoon lapke
Aadmi chhalak uthe
Aadmi hanse dekho
shaher phir base dekho
Tum abhi se darte ho
Zindagi Hai To Dukh Bhi Hain,
Hansi Bhi Hai To Aansu Bhi Hain,
Par Jo Bhi Ho Humein Zindagi Sy Piyar Hai,
Q Ki Zindagi Ki Yehi Pehchan Hai.
Zindagi Ek Pal Bhi Na Rukti Hai,
Har Naya Din Ek Nayi kKhushi Lekar Sati Hai,
Har Gham Ko Bhul Kar Naye Sapny Sajati Hai,
Zindagi Har Pal Ek Nayi Umeed Jagati Hai.
Zindagi To Har Roz Hai Ek Imtihan,
Kabhi Hansati Hai Kabhi Rulati Hai,
Kuch Khoty Hain To Kuch Paate Hain,
Magar Zindagi Ka Safar Kabhi Rukta Nhi
Har Lamha Hai Ek Nayi Raah,
Har Mod Par Hai Ek Naya Faisla,
Par Zindagi Ki Yeh Manzil,
Hum Ko Khud Hi Tay Karni Padti Hai.
Zindagi Ky Safar mein,
Manzilon Ki Parwaah Na Karo,
Har Ek Mod Par Khushi Sy Muskuraao,
Q Ki Zindagi Ek Pal Hai,
Aur Pal Do Pal Ki Khushiyan Hain,
To Khush Raho Hansty Raho,
Aur Zindagi Ky Har Lamhy Ka Mazaa Lety Raho.
Zindagi Ky Is Safar Mein,
Hum Sab Dost Aur Dushman Ban Jaty Hain,
Bas Humein Apny Dill Ko Sambhal Kar Rakhna Hota Hai.
Zindagi Kabhi Gulzar Nhi Hoti,
Yeh Khuwabon Ki Basti Hai,
Jahan Har Khushi Ka Soda Hota Hai,
Aur Har Gham Ki Qeemat Chukani Padti Hai.
Zindagi Ki Aandhi Mein Jo Chalna Hai Chal Lengy,
Kuch Hum Ko Gham Hain Kuch Khushiyan Bhi Milengi,
Har Mod Par Khushiyan Nhi Hoti Hain,
Par Agar Saath Ho Apno Ka Toh Muskura Lengy.
Zindagi Ki Rahon Mein Kabhi Thak Mat Jaana,
Har Mushkil Ko Hausly Sy Paar Kar Jaana,
Chaahy Kitni Bhi Ho Mushkilein Aagy,
Zindagi Ko Apny Dam Par Sambhal Kar Jaana.
Zindagi Ka Matlab To Har Koi Jaanta Hai,
Har Pal Ko Khushiyon Sy Bharpur Jeena Chaahta Hai,
Par Zindagi Ki Haqeeqat Yeh Hai,
Har Khushi Ky Peechy Ek Gham Chupa Hota Hai.
Zindagi Ka Matlab To Har Koi Jaanta Hai,
Har Pal Ko Khushiyon Sy Bharpur Jeena Chaahta Hai,
Par Zindagi Ki Haqeeqat Yeh Hai,
Har Khushi Ky Peechy Ek Gham Chupa Hota Hai.
Main Mai-Kade Ki Raah Sy Ho Kar Nikal Gaya
Varna Safar Hayat Ka Kaafi Tavil Tha
Zindagi Ky Safar Mein,
Kabhi Hasna Kabhi Rona,
Kabhi Khushiyan To Kabhi Gham,
Bas Yehi Zindagi Ka Khel Hai.
Ab Bhi Ik Umr Py Jeeny Ka Na Andaz Aaya
Zindagi Chhod Dy Peecha Mera Main Baaz Aaya
Zindagi Ik Aasuon Ka Jaam Tha
Pee Gae Kuch Aur Kuch Chhalka Gae
Zindagi To Hai Ek Khuwab,
Jo Hum Ny Jeena Hai,
Kabhi Khushi Sy Kabhi Gham Sy,
Par Yehi Zindagi Hai.
Muḳhtasar Ye Hai Hamari Dastan-E-Zindagi
Ik Sukun-E-Dill Ki Khaatir Umr Bhar Tadpa Kiye
Zindagi To Imtehanon Ka Ek Safar Hai,
Jahan Har Mod Par Aazmaishen Hoti Hain,
Magar Jis Ny Hausly Sy Muskurai,
Usny Zindagi Ki Khushiyan Bhi Paayi.
Zindagi Shayari in Urdu 2 Line
Zindagi Shayari is like a beautiful song made of feelings in Urdu. It’s about expressing love, joy, and sorrow in just a few words. Share these heartfelt lines with your loved ones. These two-line Zindagi Shayaris in Urdu hold immense power to connect and express emotions that words alone can’t convey. Dive into this treasure trove of emotions and let your heart sing its tun
- Humme Kahan Maloom Tha k Ishq Kya Hota He
Bas Ek Tum Mile Or Zindagi Muhabbat Ban Gai- Kuch Dosti K Dagh The Kuch Dushmani K Zakham
Ab Tujh Se Kya Kahoon Mujhe Kis Se Kya Kya Mila
- Kuch Dosti K Dagh The Kuch Dushmani K Zakham
- Kuch To Hisab Karo Humse
Itni Wafaeen Kon Udhar Deta He- Har Pal Ek Fikar Si Rehti He
Jab Mohabbat Kisi Se Bepanah Hoti He
- Har Pal Ek Fikar Si Rehti He
- Har Koi Khud Zimedar He Apni
Zindagi Ki Rihae Or Giriftari Ka- Kuch To He Jo Aati He Qaza Ruk Ruk K
Zindagi Ek Qarz He Jo Qistoon P Ada Hoti He
- Kuch To He Jo Aati He Qaza Ruk Ruk K
- Mera Safar Acha Hai Lekin
Mera Hum Safar Zayada Acha Hai- Kitni Bhi Ronaq Saja Lo Chehre Pr
Hijar Aankhon Ko Churta He Nai
- Kitni Bhi Ronaq Saja Lo Chehre Pr
- Aankhon K Andaz Badal Jate Hn
Jab Kabhi Hum Unke Samne Aate Hn- Zindagi Mein Kuch Chezein Khud Ba Khud Ho Jati Hain,
Baqi Sab Kuch Khud Ki Mehnat Sy Hi Hasil Kiya Jaata Hai.
- Zindagi Mein Kuch Chezein Khud Ba Khud Ho Jati Hain,
- Ik Muamma Hai Samajhny Ka Na Samjhany Ka
Zindagi Kaahy Ko Hai Khuwab Hai Divane Ka- Zindagi Ki Asal Khubsurti Toh Us Mein Muskurahat Hai,
Jo Muskuraty Hue Guzaari Jaye Toh Us Mein Maza Hai.
- Zindagi Ki Asal Khubsurti Toh Us Mein Muskurahat Hai,
- Hausly Zindagi Ky Dekhty Hain,
Chaliye Kuch Roz Ji Ky Dekhty Hain.- Zindagi To Bewafa Hai Ek Din Thukrayegi,
Dill Ki Hasti Mitti Hai Aur Na Jany Kis Mitti Mein Mil Jayegi.
- Zindagi To Bewafa Hai Ek Din Thukrayegi,
- Baithy Baithy Koi Khayaal Ayaa
Zinda Rehny Ka Phir Savaal Ayaa- Mera Tajuraba Hai ki Is Zindagi Mein
Pareshaniyan Hi Pareshaniyan Hain
- Mera Tajuraba Hai ki Is Zindagi Mein
- Ujaaly Apni Yadon Ky Hamary Saath Rehny Do,
Na Jaany Kis Gali Mein Zindagi Ki Shaam Ho Jae- Usi Ko Kehty Hain Jannat Usi Ko Dozakh Bhi,
Wo Zindagi Jo Haseenon Ke Darmiyan Guzry.
- Usi Ko Kehty Hain Jannat Usi Ko Dozakh Bhi,
- Zindagi Ik Hadsa Hai Aur Kaisa Hadsa,
Maut Sy Bhi Khatam Jis Ka Silsila Hota Nhi.- .Buhat Pehly Sy Un Qadmon Ki Aahat Jaan Lety Hain,
Tujhy Ay Zindagi Hum Dur Sy Pehchan Lety Hain.
- .Buhat Pehly Sy Un Qadmon Ki Aahat Jaan Lety Hain,
- Bohat Haseen Sahi Sohbaten Gulon Ki Magar,
Wo Zindagi Hai Jo Kaanton Ky Darmiyan Guzry.- Yun Zindagi Guzaar Raha Hun Tere Bagair,
Jaisy Koi Gunaah Kiye Ja Raha Hun Main.
- Yun Zindagi Guzaar Raha Hun Tere Bagair,
Conclusion
Express your emotions clearly with Zindagi Shayari! This collection lets you express your feelings through life’s ups and downs. Whether it’s love, happiness, or sadness, these Shayaris cover it all, especially feelings like love, loyalty, and hate that we all go through. We’ve gathered the best Zindagi Shayaris from famous poets like Mir Taqi Mir, Mirza Ghalib, Parveen Shakir, and Wasi Shah. You’ll find Zindagi Shayaris in Urdu that capture mixed feelings, making it easy for anyone to enjoy and understand. Explore this collection and the beauty of Shayari in life